0
aaj ki subha aik ajnabi subha hy,rungo se aari,benoor,weeran aaj aasman zra zyada oancha dikhta hy lagta hy khuda hum se door hogya hy,
kal rat mulk k beshtar hisso main zalzale k jhatke mahsoos kiye gaye,aik lamhe ko ye poori zameen kanp uthi, chief meteorologist ka kahna hy agle hafty after shocks mahsoos kiye jasakty hain,
after shocks k liye tu ab humien tyyar rehna hoga sirf agly hafty hi nahi najane kitne sal ye after shocks hum mahsoos karien gy,hamari aane wali naslien mahssos karien gi,
kal rat tu after shocks aana shoro hoye hain zalzala tu 2 hafty pahly justice javeed iqbal k ghar aaya tha jab un k borhe maa baap ko un hi k khon naveed iqbal ne bedardi se qatal kardya tha,
naveed iqbal blochistan police main bator sub inspector bharti hoa tha phir is ne intelligence bureau main tabadala karwa lya,IB se mustaqil gher hazri ki bina per is ko bartaraf kardya gaya,guzasta kafi arse se ye rakksha chala raha tha aur aik bhari raqam is ne logo se bator udhar le rakkhi thi,chon k is ka koi bhai is bat nahi karta tha is liye ye gahe bagahe apne walden se raqam ka taqaza karta tha,aur woh borhy walden is ki madad karte thy,ise aik flat le kar de rakha tha aur karobar k liye 16 lakh ropy diye thy jo us ne mitti kardye.
is ne phir kai bar walden se raqam ka taqaza kya magar is bar unho ne mana kar dya,dosri taraf logo ka dabaoo barhta jarha tha,is ne raqam hasil karne k liye aik ghinaoona mansooba tartteb dya do logo ko sath milaya aur apne borhy bebas maa bapp ko qatal karne aa pohncha,is ne us oarat ka gala dabaya jis ne ise bolna sikhaya tha,us bap ko mar dala jis ne ise chalna sikhaya tha,
dar haqeeqat woh badnaseeb maa bap tu usi waqt mar gaye hun gy jab ye shaks un ki taraf barha hoga han un ki sansien zaror chalti hun gi,us maa k zahan main shaied us waqt mazi kisi film ki tarha chal raha ho k woh kaise ise subha school k liye tyyar kiya karti thi,kaise rat rat bhar jag k ise sulaye karti thi,woh bad naseeb bap ye zaror sochta hoga k kaise ye mera hath pakar kar chalna sekhta tha,kaise mere kandhe pe charh kar khush hoa karta tha,
lakin is junooni aur darinda sift shaks ko aisa koi khail na aaya k jinho ne mujhe jaan di main un ki jaan lene jarha hun,jinhien ne mujhe zameen per khara hona sikhaya main un k peero se zameen khench raha hun,us ne ye bhi na socha k ye kamm karne k bad dunia tu dunia aakhart main bhi mujh per phitkar hogi,
ye poora waqia kahin humien hamare muashre ki tasveer tu nahi dikha rha,kahin ye woh aaina tu nahi jis main humien nazar aarha ho k ye hy mera aap ka pakistan islami jamohria pakistan,woh mulk jo islam k namm per hasil kya gaya khuda kahta hy apne borhy maa bapp se uff bhi na karna,tu phir ye kya hogya yaha tu woh borhy maa bapp uff taq na karsaky aik zalim bete ne is bedardi se gala ghonta k un ki tu koi aawaz hi na nikli,
ab zalzale merea aur aap ka muqaddar nahi tu aur kya hy,zammen bohat hassas hoti hy insan se zyada hassas jab is main lahar uthti hy tu ye sab palat kar rakh deti hy,
kal rat aany wala zalzala aisi hi koi lahr tu nahi,kahin mera aap ka muqaddar ab moean jo daro ya harrapa hojana tu nahi…………………….
aaj ki subha aik ajnabi subha hy,rungo se aari,benoor,weeran aaj aasman zra zyada oancha dikhta hy lagta hy khuda hum se door hogya hy.
Zeeshan Junaid
Welcome to WordPress.com. This is your first post. Edit or delete it and start blogging!